
Jyotish Shastra me Kaal Sarp Yoga ko bohot hi ashubh mana jaata hai. Agar aapki kundali mein yeh dosh hai, to aapko jeevan mein kai kathinaiyon ka samna karna pad sakta hai. Jivan me baar-baar asafalta milna, daravne sapne aana, aarthik aur parivaarik samasyaon ka samna karna, akelapan, man ki ashaanti, aur anek prakar ke manovigyanik dabav aapke jeevan ko prabhavit kar sakte hain.
Agar aap is Kaal Sarp Dosh se prabhavit hain aur iske upay aur totke ke baare mein jaanna chahte hain, to Lal Kitab aapke liye ek anmol margdarshak sabit ho sakti hai. Lal Kitab ek aisi adbhut pustak hai jo Vaidik Jyotish se prerit hai aur jismein anek kathin aur jatil samasyaon ke jyotishiya samadhan likhe gaye hain. Isme vyakti ke grah-doshon, yogon, aur kundali ke prabhav ko dhyaan mein rakhkar aise saral aur prabhavi upay bataye gaye hain jo aapke jeevan se Kaal Sarp Dosh ke ashubh prabhav ko dur karne mein madad karte hain.
To chaliye jaante hain Kaal Sarp Dosh ke upay aur totke, jo Lal Kitab mein likhit hain aur jinhe apna kar aap apne jeevan ko shant aur safal bana sakte hain.
Kaal Sarp Dosh Dur Karne Ke Upay
Kaal sarp dosh dur karne ke upay to bahut sare hain lekin unmen se kuchh pramukh aur aasan upay niche diye ja rahe hain:
- Rudrabhishek Puja karen.
- Garibon ko dan karen.
- Sacche man se har roj Mahadev ki upasna karen.
- Kisi acche jyotishagya se Kaal Satp Dosh Nivaaran Puja karvayen.
- Roz Om Namah Shivaya mantra ka jaap karen.
- Mahamrityunjay mantra ka jaap karen.
- Har roj shivling ka abhishek karen jal aur dudh se.
- Nag Devta ki puja karen.
- Nag panchmi ko upvas karen.
Grahon aur nakshatron ke sthan anusar Kal Sarp Dosh kayi prakar ke ho sakte hain. Aur vistarit jankari ke liye kisi acche jyotishagya se paraamarsh karen. Ek acche astrologer hi aapko bata sakte hain ki vapki kundli mein kaun sa Kal Sarp Yoga hai, aur isse mukti pane ke liye aapko kaun se tarike apnane hain.
Kaal Sarp Dosh Upay Laal Kitab
Lal Kitab ke baare mein to aap sabhi ne suna hoga. Yeh Vaidik Astrology se prabhavit ek adbhut aur rahasyamayi granth hai jismein paanch alag-alag kitabon ka gyaan samahit hai. Lal Kitab ko jyotish vigyaan ka ek anokha margdarshak mana jaata hai, jismein vyakti ke grah-dosh, yog aur unke prabhavon se mukti ke liye saral aur prabhavi upay aur totke likhe gaye hain.
Is granth mein Kaal Sarp Dosh ke upay bhi spasht roop se bataye gaye hain. Agar koi vyakti in upayon ko shraddha aur niyam se apnaye, to woh apne jeevan se Kaal Sarp Dosh ke nakaratmak prabhav ko dur kar sakta hai.
Lal Kitab ke anusaar Kaal Sarp Dosh ke pramukh upay:
- Kal Sarp Yantra ko gale mein dharan karein.
- Rahu Kaal ke samay har din kale kutte ko roti khilayein.
- Apne dahine haath mein tambe ka kada pehanna shubh mana gaya hai.
- Rahu Kaal mein kachcha koyla nadi mein pravahit karen, lagataar 27 din tak.
- Hathi ke dant se apne Isht Devta ki murti banvakar mandir mein sthapit karein.
- Rahu Devta se sambandhit rang ke kapde aur vastu daan karein.
- Apna ghar aur aas-paas hamesha saaf-suthra rakhein.
- Mithyachar aur jhooth se door rahein.
- Maatha par chandan ka tilak lagana shubh hota hai.
- Rahu Kaal ke dauran mandir ki sidhiyan dhoein 10 din tak.
- Mandir mein safed nariyal chadhana bhi laabhdayak mana gaya hai.
Lal Kitab mein likhe ye upay aapke jeevan mein shanti, samriddhi aur grah shanti la sakte hain. In upayon ko aur achhi tarah samajhne ke liye kisi anubhavi aur vishwasniya jyotishacharya se salah lena atyant zaroori hai. Pandit Vinod Shastri Ji, Trimbakeshwar ke ek prasiddh aur anubhavi Jyotishacharya hain. Unhone pichle 35+ saalon se Trimbakeshwar Mandir mein Kaal Sarp Dosh Nivaran Puja aur anya shastriya kriyaayein safalta se sampann karayi hain. Agar aap Lal Kitab mein likhe hue Kaal Sarp Dosh Nivaran ke upayon ke baare mein vyavaharik margdarshan chahte hain, to aap Pandit Vinod Shastri Ji se sampark kar sakte hain.
Unki anubhav aur shastriya gyaan ke madhyam se aap apne Kaal Sarp Dosh se mukti pa sakte hain aur apne jeevan mein sukh-shanti aur safalta prapt kar sakte hain.
Sawan Me Kalsarp Dosh Ke Upay
Sawan ka mahina Bhagwan Shiv Ji ko samarpit hota hai, aur yeh maas bhakti aur shuddhata ka prateek mana jaata hai. Aisa kaha jaata hai ki agar koi vyakti Sawan ke pavitra mahine mein Kaal Sarp Dosh ke upay shraddha aur niyam se kare, to usse Shiv Ji ki kripa drishti prapt hoti hai aur jeevan se Kaal Sarp Dosh ke rinatmak prabhav dur ho jaate hain.
Is pavitra mahine mein kiye gaye upay aur puja vidhi atyant shaktishaali aur prabhavi maane jaate hain, kyunki Sawan mein Shiv Ji apne bhakton par vishesh kripa karte hain.
Sawan Mein Kaal Sarp Dosh Ke Prabhavi Upay:
- Har din Shivling par dudh, Ganga jal, ghee, shehad, bel patra aur phool se abhishek karein.
- Har Sawan ke Somwar ko upvaas rakhein aur Shiv Ji ki poori shradha se puja-archana karein.
- Rozana “Om Namah Shivay” mantra ka jaap karein.
- Har din 108 baar Mahamrityunjay Mantra jaap karein.
- Nag Panchami ke din Nag Devta ki puja karein aur unhe dudh chadhayein.
- Tambe se bani Nag-Nagin ka joda Shivling par chadhayein.
- Kala til aur dudh ko milakar us mishran se Shivling ka abhishek karein.
Sawan ke dauran in gharelu aur saral upayon ko apnaane se aapke jeevan mein grah shanti, sukh-samriddhi aur man ki shaanti sthapit hoti hai. Bhagwan Shiv ki poorn kripa se aapke Kaal Sarp Dosh ke nakaratmak prabhav kam hone lagte hain, aur jeevan mein sakaratmak urja aur safalta prapt hoti hai. Agar aap Sawan ke pavitra mahine mein Kaal Sarp Dosh Nivaran Puja karwana chahte hain, to Trimbakeshwar ke prasiddh Pandit Vinod Shastri Ji se sampark kar sakte hain. Unke dwara karayi gayi puja aur upay Vedic vidhi se sampann hote hain, jo aapke jeevan mein shanti aur samriddhi laane mein madadgar sabit hote hain.
Anant Kaal Sarp Dosh ke Upay
Anant Kal Sarp dosh hone se court-kachhari sambandhit vivad vaivahik vivad ityadi ho sakta hai. Anant Kaal Sarp Dosh ke upay nimnalikhit hai:
- Pratidin dudh, gangajal, belpatra se Shiv Ling ki rudrabhishek Karen.
- Mahamrityunjay Mantra ya Om Namah Shivay Mantra ka Jaap Karen.
- Chandi ka Nag-nagin banakar Nag Panchmi ke din arpit karen.
- Nag-Gaytri Mantra ka jaap karen.
Kulik Kaal Sarp Dosh ke Upay
Kulik Kaal Sarp Dosh ke upay kuchh is prakar hai:
- Har roj bhagwan Shiv ka rudrabhishek karen.
- Chandi ka Nag-nagin banakar Shiv Ling per arpit karen.
- 81 hajar bar Mahamrityunjay Mantra ka jaap karen.
- Hanuman ji ki puja karen.
- Trikoniya Munga pathar, mangalwar ko tambe ki anguthi mein dharan karna shubh mana jata hai.
- Kisi bhi prakar nasha aadi se dur rahe.
Vasuki Kaal Sarp Dosh ke Upay
Vasuki Kaal Sarp Dosh ke upay kuchh is prakar hai:
- 40 dinon tak Hanuman ji ki puja karen aur Hanuman Chalisa ka paath karen.
- 40 dinon tak Bajrang Baan ka paath karen.
- Shaniwar ko chandi ka Rahu Yantra dharan karna shubh hota hai.
- Nagraj ki anguthi pahankar mantra jaap karen har Mangalwar ko.
- Ravivar ko bargad ke ped ki puja karen.
Shankhpal Kaal Sarp Dosh ke Upay
Shankhpal Kaal Sarp Dosh ke upay nimnalikhit hai:
- Har roj dudh, gangajal, belpatra,ful, ghee, ityadi se Shiv Ling ki rudrabhishek Karen.
- Mahamrityunjay Mantra ya Om Namah Shivay Mantra ka Jaap Karen 108 bar.
- Nag panchmi ki tithi mein Nag Devta ki puja karen.
- Neela, Kala, Bhura ityadi rang Ke kapde pahnane se bache.
- Kisi bhi prakar ki nashili chij aur aadaton se dur rahe.
Padma Kaal Sarp Dosh ke Upay
Agar aap ‘Padam Kaal Sarp Dosh Ke Upay in Hindi’ k baare me jan na chahte hai to Padam Kaal Sarp ke upay kuch iss prakar hai:
- Shiv ji ki Rudrabhishek karen.
- Kisi pavitra bhavya sthan mein Kal Sarp Nivaaran puja karvayen.
- Mahamrityunjay mantra ka jaap karen.
- Kaal Sarp Nivaran hom aur yagya karvayen.
Mahapadma Kaal Sarp Dosh ke Upay
Maha Padam Kaal Sarp ke upay kuch iss prakar hai:
- Rahu Ketu ki puja karen.
- Nag Devta ki puja karen.
- Shiv Ji ka dhyan karen.
- Shivling ki rudrabhishek karen.
- Chandi ki sarp anguthi ungli mein dharan karen.
- Niyamit vyayam karen aur aalas na karen.
Takshak Kaal Sarp Dosh ke Upay
Takshak Kaal Sarp Dosh ke upay kuch iss prakar hai:
- Shukla paksh ke mangalwar mein upvas rakhen.
- Hanuman ji ki puja karen.
- Mahamrityunjay Mantra, Om Namah Shivay Mantra ka jaap karen aur Rudraksh dharan karen.
- Rahu Ketu Mantra ka jaap karen.
- Nag Devta ki puja karen.
- Trimbakeshwar mein Kaal Sarp Dosh Nivaaran Puja karvayen.
Karkotak Kaal Sarp Dosh ke Upay
Karkotak Kaal Sarp Dosh ke upay kuch iss prakar hai:
- Har roj 108 bar Mahamrityunjay mantra ka jaap karen.
- Nag Devta ki abhishek karen.
- Shiv Ling ki puja archana karen aur abhishek karen.
- Naga Stotra aur Shiv Chalisa ka paath karna labhdayak ho sakta hai.
- Garibon ko dan karen.
Shankhachur Kaal Sarp Dosh ke Upay
Shankhachur Kaal Sarp Dosh ke upay nimnalikhit hai:
- Har Mangalwar aur Shaniwar Hanuman ji ki puja karen aur Hanuman Chalisa ka paath karen.
- Har roj 108 bar Om Namah Shivay aur Mahamrityunjay mantra ka jaap karen.
- Gomed ratna ko Chandi ki anguthi mein dharan karen.
- Sarson ka tel aur Kala til garibon mein dan karne se labhdayak fal prapt hota hai.
Ghatak Kaal Sarp Dosh ke Upay
Is prakar ke Kaal Sarp Dosh se bachne ke liye aapko nimnalikhit vidhi ko manke chalna padega:
- Har Somvar ko Shivji ki abhishek karen.
- Har roj Mahamrityunjay mantra ka jaap karen 108 bar.
- Nag Devta ko dudh chadhaen aur unki puja karen.
- Trimbakeshwar mandir me Kaal Sarp Dosh Nivaran Puja karwana lavdayi hai.
Vishdhar Kaal Sarp Dosh ke Upay
Vishdhar Kaal Sarp Dosh ke upay nimnalikhit hai:
- Panchmukhi Rudraksh dharan karen.
- Dudh gangajal aur belpatra se har roj Shiv Ling ki aradhna karen.
- Har Shaniwar aur Mangalwar ko Hanuman ji ki puja karen aur Hanuman Chalisa ka paath karen.
- Nag Devta ko dudh aur kala til chadhae aur unki puja karen.
Sheshnag Kaal Sarp Dosh ke Upay
Sheshnag Kaal Sarp Dosh ke upay iss prakar hai:
- Bhagwan Vishnu ki bhakti purvak puja archana karen.
- Har roj shivling ki abhishek karen aur 108 bar Mahamrityunjay mantra ka jaap karen.
- Chandi se bani hui Nag-nagin ki anguthi dharan karen.
- Nag Devta ki puja archana karen aur unhen kala til aur dudh arpan karen
- Gomed ratna dharan karen.
Anshik Kaal Sarp Dosh ke Upay
Anshik Kaal Sarp Dosh ke upay nimnalikhit hai:
- Rahul Sutra ka paath karen.
- Kale kutte ko roti khilaye kutte ko roti khilaye.
- Pratidin Mahamrityunjay mantra aur Om Namah Shivaya mantra ka jaap karen.
- Nag Panchami mein upvas rahe aur Nag Devta ki puja karen.
- Bhagwan Shiv ki rudrabhishek karen.
Best Pandit for Kaal Sarp Dosh Upay
Aur bhi vistarit Kaal Sarp Dosh ke totke aur nivaran vidhi ke baare mein jaankari prapt karne ke liye, kisi anubhavshali aur gyani jyotishacharya se sampark karna atyant zaroori hai. Pandit Vinod Shastri Trimbakeshwar ke prasiddh aur vishwasniya pandit hain, jo pichhle 35 varshon se Trimbakeshwar Mandir mein seva kar rahe hain. Unhone apne gahre anubhav aur vedic gyaan se hazaron bhakton ke jeevan mein Kaal Sarp Dosh, Pitra Dosh, Rahu-Ketu Dosh, aur anya grah sambandhit doshon ka shuddhikaran karke shanti pradan ki hai. Pandit Vinod Shastri ji ke dwara Trimbakeshwar mein vidhi-purvak Kaal Sarp Dosh Nivaran Puja, Rudrabhishek, Tripindi Shraddha, aur Mahamrityunjay Jaap jaise anushthanon ka nirvahan kiya jaata hai. Unka puja vidhan Vedic paddhati par aadharit hai jisme shuddhta, sankalp aur niyamit vidhi ka vishesh dhyan rakha jaata hai. Yadi aap bhi apne jeevan se Kaal Sarp Dosh ke prabhav ko dur karna chahte hain, to Trimbakeshwar jaakar Guruji se salah lena ek uttam vikalp hoga. Agar aap Kaal Sarp Dosh, uske upchar aur sahi puja vidhi ke baare mein adhik jankari lena chahte hain, to aap Pandit Vinod Shastri ji se seedhe sampark kar sakte hain. Unka sampark number hai – +91 8421032204. Aap unki adhikarik website par jaakar bhi puja booking ya salah ke liye request kar sakte hain. Agar samay rahte theek na kiya jaaye to Kaal Sarp Dosh jivan ke liye khatra ban sakta hai. Apne aap ko surakshit rakhne ke liye aaj hi apne jyotishagya se sampark karen.


